"ARTICAL 15" (MOVIE)


“ARTICLE 15” (MOVIE)

NIND ME LOG,  ANDHKAR ME SAMAAJ:

“Article 15” movie se darey hue hai log, aisa pahli baar nhi hua hai, esce pahle bhi “Padmavat, Bajrange bhaijaan, Mulk, Lipstick under my burqa” jaise filmo se darey hue they. Ye wahi log hai jo kahtey hai ki desh me unnati, vikas, aur samanta honi chahye. Yahi log sanskriti aur Rashtrawaad ke virodh me filmo ko band karne pe utar aatey hai aur virodh bhi aisa ki wo apne he logo aur apne he desh ke sampatti ko nuksan pahuchatey hai. Us samay en logo ko Rashtrawaad ki parwaah nhi hoti. Ye wahi log hai jo Naari samman ki baat kartey hai, aur Padmavat jaise filmo ko lekar “Dipika padukone” ko naak katney pe enaam dene ki baat kartey  hai. Ye wahi log hai jo khud ko dharm aur jaati ko mahan batatey hai aur Ensaniyat ki baaat aati hai to pata nahi kahan chhup kar beth jatey hai. Yhi wo log hai jinke wajah se dharm me rajneeti aur rajneeti me dharm mil rha hai. Aur eska natejaa enko khud nhi pata hai.
Kal ye jin dalito ko vote ke liye hindu keh rahey they aaj enhi ke liye galiyaan de rahey hai jis darindagi ko ye film samne lana chahti hai ye usci ko band karna chahtey hai.
Film “Article 15 “ me sachi ghatnao ko dikhaya gya hai. “Article 15” kahta hai ki sab ek samaan hai, ye wo log hai jo Arakshan to hatana chahtey hai lekin jaat nahi, ye wo log hai jo Sampradayikta hatana chahtey hai lekin unke dharm pe baat aati hai to ugra ho jatey hai. En logo ko khud nahi pata ki enka estemal rajneeti taur se bhi kiya jata hai.
Nahi pata to jo kar puri film dekh le sayad kuch samajh me aa jaye.

AT LAST BUT NOT THE LEAST:
(MERE VICHAR):

“Article 15” means “RIGHT TO EQUALITY”.
Matalb sabko samaaj me samaan Adhikar. Hum baat kartey hai film ke upar jo samaj ke samanta ke upar bani hai. Ki ensaaf sabko milna chahye chahe wo dalit ho ya koi aur.
Jaise ki samaaj me Naari ko sabse uchhya bataya gya hai uski raksha aur uski maan sammaan ki baat ki gye hai lekin hmarey samaj me kuch aise log hai jinki budhi etni bhrast ho gye hai ki humme… Badaun, nahi balki Kathua, Ruchika, Ashifa, Aruna, aur kae bhi rape cases yaad dilate hai. Aur to aur allahabaad ka kand jo bas chua-chuut ke karan hua tha.
Mai bata du ki ye film kewal Badaun case nahi balki aur anya incident pe adharit film hai.
Kewal eske trailor aur teasure ko dekhar esko judge na kare.


HUMARE PRASHNA AUR AAPKE VICHAR:

Q1. Filmey hummey samaaj ka ayeena dikhati hai, es badltey hue samaaj me humari aaj ki filmey sahi marg darshak shabit ho rahi hai ?

Q2. Humarey bhuut kaal me kuch samaaj warg ke sath anyaay hua, to kya uska badla lena chahye ya humare system ko thik karna chahye ?

Comments

Popular posts from this blog

Micromax Launch New Phone

DANGAL GIRL QUITS FILM INDUSTRY

2k19 INDIAN BUDGET